“Kiyun…”
**Wo tasavvur jo akele mein hansaata tha kabhi
Wo aik shukhs khayaalon mein jo aata tha kabhi
**
**Jis k aane se hawaaon se mehek uthti thi
Wo jo chalta hua saba ko jalaata tha kabhi
**
**Jis k hansne ne gulon ko bhi saliqa bakhsha
Jo tehelta hua lehron ko sikhaata tha kabhi
**
**Saare taaron ki chamak maand kiye deta tha
Wo jo palkon ko nazaakat se uthaata tha kabhi
**
Ab k dushvaar hai kiyoon us ka tasavvur kerna !
Jis ka chehra meri yaadon ko sajaata ta kabhi
![]()
(poet: Zamil)
[RIGHT](written in Aug’1997)[/RIGHT]