Abhi Is Taraf Nazar Na Kar, Main Ghazal Ki Palkain Sanwaaar Loon
Mera Lafz-Lafz Ho Aaina Tujhay Aainay Mein Utaar Loon
**
Main Tamaam Din Ka Thaka Huwa, To Tamam Shab Ka Jaga Huwa
Zara Thehar Jai Isi Morr Par, Tere Saath Sham Guzaar Loon
**
Agar Aasmaan Ki Numaaishon Mein Mujhay Bhi Izn-A-Qayaam Ho
To Main Motiyoon Ki Dukaan Se Teri Baaliyaan Tere Haar Loon
**
Kaheen Or Baant Shehar Mein, Kaheen Or Bakhsh De Izatain
Mere Paas Hai Mera Aaina, Main Kabhi Na Gard-O-Ghubaar Loon
**
Kaee Ajnabi Mere Raah Mein, Mere Paas Se Yoon Guzar Gaiy
Jinhain Dekh Kar Ye Tarap Huee, Tera Naam Le Kar Pukaar Loon
Re: Ghazal ke palkain sanwaar loon
Abhi 2 din pehle yeh ghazal parhi mein ne n aap ne share kardi yahan
Thanks Ts it is so nice :k:
Re: Ghazal ke palkain sanwaar loon
kahan perhi yahan?or like kiya is ka shukreya
Re: Ghazal ke palkain sanwaar loon
Nahi baba yahan nahi kahin aur :)
Re: Ghazal ke palkain sanwaar loon
Is ghazal ki palkeiN yahaN par itni baar saNwaari gai heiN ke ab to yaad bhi nahi :~) But what a lovely piece it is. Jitni baar chahey parrh lo.
Re: Ghazal ke palkain sanwaar loon
buhat khoob Tahreem ji:-)
Re: Ghazal ke palkain sanwaar loon
v v nice :)