kabhi yaad tujhko aaye guzra huwaa zamanaa
tujhko qasam wafaa ki aaNsoo naH tu bahaana
milnaa hi do diloN ka dar-asal hai judaai
ulfat ka rang-o-gham say rishta hai yeH puranaa
ro ro kay keh ra-hay haiN armaan machal machal kay
duniya meiN naam-e-ulfat ashkoN ka hai kHazanaa
ai bulbul-e gulistaN tum yuN na muskuraao
poshida iss kHushi meiN gHam ka hai taranaa
ho jagah koi woH yaarab jahaaN chaaNd ho, naH taa-ray
naH to Dar ho bijliyoN ka, ghar ho naH aashiyana
apni “Rafik” jahan meiN bas arzoo yahi hai
kar-nay wafaa haiN aaye, kar-kay wafaa hai jaana
Re: Ghazal ( kabhi yaad tujhko aaye )
Very nice :k:
Re: Ghazal ( kabhi yaad tujhko aaye )
thx prince
Kiya mila mohabbat se ?????
KIA MILA MOHABBAT SE?
KAHWAB KI MUSAFAT SE
VISEL KI TAMAZAT SE
ROZ O SHAB KE RAIZET SE
KIA MILA MOHABBAT SE
EK HIJAR KA SAHRA
EK SHAMM YADOON KE!!!!!
EK TAKHA HOA ANSSO!!!!!!!
Ziddii dil
**Barsi nahi Baarish kuchh din se to kya
Samunder vaise suk to nahi jata
Chamakte nahi din mein Chaand sitare
Sharm se Aasman jhuk to nahi jata
Mana ke kathhin hai ishq ki rahen
Mumkin hai woh hum ko chahen ya na chahen
Ekraar-e-ishq na hua to kya
Dil ka dhadakna ruk to nahi jata**