Ghazal k roop mein wo rubaru jo ho "Mohsin"

Shafaq ki jheel main jab sung_e_aftaab girey,

Hamrey ghar py siyah raat ka azaab girey..

Kaheen to Gardish_e_ayyam thak k saans bhi ly,

Kbhi to
Khaima_e_aflaak ki tanaab girey..

Kisi k raaygaan ashkon ka kuch hisab to kr,

Falak sy youn to sitarey bhi be’hisaab girey..

Kaheen to
Silsla_e_intzaar khatm bhi ho,

Kisi tarha to ye deewar_e_iztraab girey..

Ghazal k roop mein wo rubaru jo ho
“Mohsin”

Labon sy lafz urrein, haath sy kitaab girey..!

Re: Ghazal k roop mein wo rubaru jo ho “Mohsin”

wah g khawbo k rung
nyc
:k: