Ghazal: Jigar Moradabadi

wo ada’ey dilbari ho ke nawa’ey aashiqana
jo dilon ko fateh kar le, wohi fateh-eh- zamana


kabhi husn ki tabiyat na badal saka zamana
wohi naaz-e-be’niyaazi, wohi shaan-e-khusruwana


teri duuri o huzuuri se hei kuch ajeeb aalam
abhi zindagi haqeeqat, abhi zindagi fasanah


mere hum_safeer bulbul mera tera saath hi kya
main zameer-e-dasht-o-dariya, tu aseer-e-aashiyana

Re: Ghazal: Jigar Moradabadi

Ustaad Ki Ghazal ho aur hum na parhein ab aisay bhi halaat nahi :stuck_out_tongue: kya shokh andaaz paya tha Jigar ne ! Kya kehne thanks Jw for sharing such a lovely ghazal :bb: n Welcome Back :bb:

Re: Ghazal: Jigar Moradabadi

Good One Jhanjharewali..:)

Re: Ghazal: Jigar Moradabadi

jhun jhun.....welcome back....and trust me u r back with a bang,,,beautiful ghazal

Re: Ghazal: Jigar Moradabadi

teri duuri o huzuuri se hei kuch ajeeb aalam
**abhi zindagi haqeeqat, abhi zindagi fasanah

bohat khoob jee
**

Re: Ghazal: Jigar Moradabadi

*hmmmmmmmmmm buhat mushkal ghazal leekan khoubsurat *

Re: Ghazal: Jigar Moradabadi

wonderful :)

Simply splended choice JJW:)

Re: Ghazal: Jigar Moradabadi

nice sharing