GHAZAL
Aaj yoon mauj dar mauj gham tham gaya,is tarha gham-zadon ko qaraar aa gaya
Jaise khushbu-e-zulf-e-bahaar aa gaee,jaise paighaam-e-deedaar-e-yaar aa gaya
Jis ki deed o talab wehm samjhe they ham,ru-ba-ru phir sar-e-rahguzaar aa gaya
Subh-e-farda ko phir dil tarasne laga,umr-e-rafta tera aaitebaar aa gaya
Rut badalne lagi rang-e-dil dekhna,rang-e-gulshan se ab haal khulta nahi
Zakhm chhalka koi ya koi gul khila,ashk umdde k abr-e-bahaar aa gaya
Khoon-e-ushaaq se jaam bharne lage,dil sulagne lage,daagh jalne lage
Mehfil-e-dard phir rang par aa gaee,phir shab-e-aarzu par nikhaar aa gaya
Sarfaroshi k andaaz badle gaye, da’wat-e-qatl par maqtal-e-shehr mein
Ddaal kar koi gardan mein tauq aa gaya,laad kar koi kaandhe pe daar aa gaya
Faiz kya jaaniye yaar kis aas par,muntazir hain k laaye ga koi khabar
Mai-kashon par hua mohtasib mehrbaa(n), dil-figaaron pe qaatil ko pyaar aa gaya
(poet: Faiz Ahmed Faiz)