Ghazal for the banished ..

folks . .heres a taaza kalaam, with apologies to ibn-e-insha .. laugh a little, live a little

Devuchkaji uTho, ab kooch karo
iss forum meiN ji ko lagana kiya

admins ko flaming seh kiya matlab
gaaliyoN ka forum meiN Thikaana kiya

Devuchkaji uTho, ab kooch karo
iss forum meiN ji ko lagana kiya

deewanay ki si na baat karay
to aur karayga fraudia kiya

jis forum keh loag na flamebait laiN
uss forum meiN ungle ka lagaana kiya

Devuchkaji uTho, ab kooch karo
iss forum meiN ji ko lagana kiya
jis post meiN sau chedh huay
usskay moderator ko phailana kiya

kg beeti, shpooki bhi Doob geya
zanjeer paRi threads peh
kiyuN advert laga keh aaye ho
chaudhree seh karoge, bahaana kiya

Devuchkaji uTho, ab kooch karo
iss forum meiN ji ko lagana kiya

kuchh kuchh hota hai bhi chaRh gaya
Bachchay kuchh uss kay ban huay
Ab bhi kuchh bachchay baaqi haiN
Viagra na hoti to hota kya

Begum ki angooThi baich kar us nay
viagra ki sheeshi black meiN li
Khair hui ke bachchay khoob huay
Warna begum say bhi wo kehta kya?

Good!!!!!!!

Ps. There is a poetry section here.....

Hehe..


Beauty Lies In The Eyes Of The BeerHolder