kisi se meri manzil ka pata paaya nahi jata
jahan men hon farishton se wahan jaaya nahi jata
muhabbat k liye kuch khaas dil makhsoos hotay hen ye wo naghma hai jo har saaz pay gaaya nahi jata
mere tootay huay paa-e-talab ka mujh pay ehsa'n hai k ab uth kar tere dar se kahin jaaya nahi jata
chaman tum se ibaarat hai, bahaaren tum se hen zinda tumharay saamnay phoolon se murjhaaya nahi jata
har ek daagh-e-tamanna ko kaleje se lagata hon k ghar aee hui dolat ko thukraya nahi jata
faqeeri men bhi mujhko maangnay se sharm aati hai
Sawali hon pa mujh se haath phelaaya nahi jata
Zabardast Abla_pa:)