kisi se meri manzil ka pata paaya nahi jata
jahan men hon farishton se wahan jaaya nahi jata
muhabbat k liye kuch khaas dil makhsoos hotay hen
ye wo naghma hai jo har saaz pay gaaya nahi jata
mere tootay huay paa-e-talab ka mujh pay ehsa’n hai
k ab uth kar tere dar se kahin jaaya nahi jata
chaman tum se ibaarat hai, bahaaren tum se hen zinda
tumharay saamnay phoolon se murjhaaya nahi jata
har ek daagh-e-tamanna ko kaleje se lagata hon
k ghar aee hui dolat ko thukraya nahi jata
faqeeri men bhi mujhko maangnay se sharm aati hai
Sawali hon pa mujh se haath phelaaya nahi jata
Re: Ghazal - by Makhmoor Dehlvi

**Thanks abloo **
p.s. kese ho
Re: Ghazal - by Makhmoor Dehlvi
last 2 sheer... bohot zabardast hain...
aap ki choice bohot achi hay...
REGARDS...
Im Okay.:k:
fine shine.
ek dam fit.
muddii
6
kisi se meri manzil ka pata paaya nahi jata
jahan men hon farishton se wahan jaaya nahi jata
muhabbat k liye kuch khaas dil makhsoos hotay hen
ye wo naghma hai jo har saaz pay gaaya nahi jata
mere tootay huay paa-e-talab ka mujh pay ehsa'n hai
k ab uth kar tere dar se kahin jaaya nahi jata
chaman tum se ibaarat hai, bahaaren tum se hen zinda
tumharay saamnay phoolon se murjhaaya nahi jata
har ek daagh-e-tamanna ko kaleje se lagata hon
k ghar aee hui dolat ko thukraya nahi jata
faqeeri men bhi mujhko maangnay se sharm aati hai
Sawali hon pa mujh se haath phelaaya nahi jata
Zabardast Abla_pa:)