Ghazab kiiyaa, tere vaade pe aitabaar kiiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intezaar kiiyaa
ha’Nsaa ha’Nsaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiiyaa
tasalliiyaa’N mujhe de-de ke beqaraar kiyaa
ham aise mahv-e-nazaaraa na the jo hosh aataa
magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiiyaa
fasaana-e-shab-e-Gam un ko ek kahaanii thhii
kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa-aitabaar kiiyaa
ye kisne jalvaa hamaare sar-e-mazaar kiiyaa
kii dil se shor uThaa, haa_e! beqaraar kiiyaa
taDap phiir aii dil-e-naadaa’N, kii Gair kehte hein
aaKhir kuchh na banii, sabr iKhtiyaar kiiyaa
bhulaa bhulaa ke jataayaa haii unako raaz-e-nihaa’N
chhipaa chhipaa ke mohabbat ko aashakaar kiiyaa
tumhein to vaadaa-e-diidaar ham se karanaa thaa
ye kyaa kiiyaa ke jahaa’N ko ummiidvaar kiiyaa
ye dil ko taab kahaa’N hai ke ho maalandesh
unho’ne vaadaa kiiyaa ham ne aitabaar kiyaa
na puuchh dil kii haqiiqat magar ye kahate hein
vo beqaraar rahe jisne beqaraar kiiyaa
kuchh aage daavar-e-mahashar se haii ummeed mujhei
kuchh aap ne mere kehne kaa aitabaar kiiyaa
*