ghayal kiya jab apno ne, to gairon se gila kiya karna
uthaaye hain khanjar jab apno ne, to zindagi ki tamanna kiya karna
dil tha ik kanch ka ghar, so aakhir wo bhi toot gaya
qismat main likhey hain jab gum, to Khuda se gila kiya karna
taraste rahe zindagi bhar jin sachey rishton ke liye
jab unhon ne hi thukra diya, to gairon se tawaqo kiya karna
jis ko samjha tha apna, jis ko banaya tha apna raazdaan
usi ne jab dil tor diya, to gair ko apnakar kiya karna
muskurana jo bhool gaye hont to kiya hua
gum ko bana liya hai apna, to muskura ke ab kiya karna