GharoN ko makaan bantay daikha hai

**Gharon ko makaan bantay daikha hai
RishtoN ko dukaan bantay daikha hai

Bhartay haiN jo pyaar ka dam har waqt
Pal maiN unhaiN haivaan bantay daikha hai

Kartay haiN jo bathkoN main tehzeeb-o-adab ki baatain
Ghar kay band kamroN main unhaiN shaitaan bantay daikha hai

Awaaz ab uthaaiN apnay aisay muasharay kay khilaaf
Aurat ko aaj bhi jahaaN saamaan bantay daikha hai

घरों को मकान बनते देखा है
रिश्तों को दूकान बनते देखा है

भरते हैं जो प्यार दम हर वक़्त
पल में उन्हें हैवान बनते देखा है

करते हैं जो बैठकों में तहज़ीब-ओ- अदब की बातें
घर के बंद कमरों में उन्हें शैतान बनते देखा है

आवाज़ अब उठाएं अपने ऐसे मुआशरे के खिलाफ
औरत को जहां आज भी सामान बनते देखा है
---------------------------**

Re: GharoN ko makaan bantay daikha hai

Very nice try Berjinder :k:

Re: GharoN ko makaan bantay daikha hai

Kya baat hey Brijinder sahab :k:

Re: GharoN ko makaan bantay daikha hai

**Kartay haiN jo bathkoN main tehzeeb-o-adab ki baatain
Ghar kay band kamroN main unhaiN shaitaan bantay daikha hai

bauhat Aala. :k:
**