**Aik rich family ki ladki ko school mein aik essay likhney ko kaha gaya jiska subject tha " Gareeb Family "…ab uss bechari ko kia pata key Gareeb log kia hotey hein aur gareeb kaisey guzara karte hein,magar essay likhna zarori tha isliye thodi der baad soch kar uss ne y essay kuch aisey start kia
“Aik family bohat gareeb thi
uss key maa bap bhi bohat gareeb thy
bachy bhi bohat gareeb thy
wo aik bohat badey aur puraney ghar mein gareebon ki tarah rehty thy
unkey 6 naukar bhi bohat gareeb thy
unki 3 purni aur tooti hoyi Mercidez Benz dekh kar bhi unki gurbat ka pata chalta tha
unka gareeb driver gareeb bachon ko purani car mein school le jata tha
inn bachon ke pas puraney N-95 Nokia mobile thy
ye gareeb bachy week mein sirf 3 bar Pitza Hutt jatey thy
ghar mein 4 purane AC bhi unki gurbat ki misal thy
mukhtesar ye ke…wo gareeb family bohat hi gurbat mein zindaagi guzar rahi thi…”**