**
wo garmiyon ki raat
wo jaade ki baat
wo paani ka matka rasoi ke swaad
sab satata hai mujhe
ghar yaad aata hai mujhe**
saathi ik saath hai
itni si baat hai
wo ped wo aangan dikhana hai use
kehta hai roz mann mujhe
ghar yaad aata hai mujhe
jin dilon mein raha main barson tak
ek hissa un mein mera bhi tha
phir wahin rehna hai mujhe
ghar yaad aata hai mujhe
**sehme chaukhat pe khade
mera mann ye kahe
pyaar karna seekha tha tumse
pyaar tumse phir paana hai
kitni doge saza,
ab to de do duaa
intezaar ab hai mujhe
ghar yaad aata hai mujhe
**