Ghar se door rehne walay ke leye ...

**Ghar se door rehne walay ke leye ek nazm** ** Jo ghar se door hotay hain Bahut majboor hotay hain Kabhi baaghoon mein sotay hain Gharoon ko yaad kartay hain Tu phir fareyaad kartay hain Magar jo be-sahaara hoon Gharoon se be-kinaara hoon Unhain ghar kaun deta hai Yeh khatra kaun laita hai Makanoo ke jo maalik hain Jo foot-pathoon ke khaliq hain Gharoon ko baant dete hain Charoon ko daant dete hain Bari mushkil se ek kamra Jahaan koi na ho rehta Nagar se paar milta hai Tu phir do teen hum jaise Mila letay hain sab paisay Aur aapas mein yeh kehtay hain Ke mil jul kar hi rehtay hain Koi khaana banaayega Koi jhaaroo lagaayega Koi dhoyega sab kapray Tu reh lenge baray sukh se Magar garmi bhari raatain Tappish aalood sougaatain Aur uper se woh band kamra Ghuttan aur habs ka phehra Thakkan se choor hotay hain Sukoon se door hotay hain Jab apna kaam kar ke hum Palat'tay hain tu aankhain nam Makaan weeraan milta hai Bara be-jaan milta hai Khushi maadoom rehti hai Fiza maghmoom rehti hai Baray ranjoor kyon naa hoon Baray majboor kyon naa hoon Awaail mein maheenay ke Sab apne khoon paseenay ke Jo paise jor letay hain Gharoon ko bhaij dete hain Aur apne khat mein likhtay hain Hum apna dheyaan rakhtay hain Bari khush bakht ghareyaan hain Yahaan khushiyaan hi khushiyaan hain Bahut ji chaahatay hai tab Ke maa ko bhaij de yaa rab Jo apni gaud mein le kar Humein thandi hawa de kar Sula day neend kuch aisi Jo naa totay kisi pal bhi Magar kuch bhi nahee hota Tu kar letay hain samjhoota Koi dil mein bilak'ta hai Koi pehroo sulaghta hai ...**

bohat khoob...

lagta hai aap nay ya hamaray liya leekhi hai

:)