** tohmatien to lagti hain
****roshni ki khuwahish mien
****ghar say bahir aanay ki kuch saza to milti hay
****log log hotay hain
****in ko kiya khabar jana’N
****aap k iradon ki..khoobsorat ankhoon mien
****basnay walay khuwabon k..
****rang kaisey hotay hain?
****dil k goud angan mien palnay wali batoon k
****zakhm kaisay hotay hain?
****kitney gehray hotay hain
****kab yah soch saktay hain?
****aisi beghunah aankhen..
****ghar k konay khudroon mien..chhup k kitna roti hain
****phir bhi ye kahani say
****apni kuj’bayani say
****is qadar ravani say,
****dastaan sunatay hain
****aur yaqeen ki aankhen
****sach k ghumzadha dil say lag k ronay lagti hain
****tohamatien to lagti hain
****roshni ki khuwaish mien
****tohamaton k lagnay say
****dil say dost ko jana’N
****ab nidhaal kiya karna
****tohmaton say kiya darna??
****Noshee gillani
**