yeh ek moHaavarah hii nahiiN bal k is moHaavare kaa amali itlaaq ho rahaa hai aaj mere ghar meN
aaj mere ghar kii [including my room] kii khiRkiyaan badli jaa rahii haiN…is qadar shor aur ThanD hai k na poochheN…baahar minus 7 degrees C hai aur saarii khiRkiyaaN Ghaayab…socheN ghar barf hogaa na!
i am dressed like i’m going outside…lol…merii pet birds ko basement meN rakh diyaa…heater full blast ON hai magar phir bhii cold hai!
razaaii oRh ke? achchhii raaye dii…kama karne waale mujhe aur razaaii ko chhoR kar saaraa ghar sar pe uThaa ke le jaayeN! lol…insurance ke chakkar meN nahiiN paRnaa maiN nu.
shareer bachche ho yaa shareer adult…ab mujhe tumhaaraa status badalnaa hogaa!
Khuda Khuda kar ke vo log abhii abhii gaye saarii khiRkiyaan lagaa kar…in logoN meN yeh baat bahot achchhii hai k sab saaf soof kar ke jaate haiN aur pataa bhii nahiiN chaltaa k abhii itnaa baRaa kaam huaa hai…
bas, iimaan se, my khiRkii looks so beautiful…ab chhajje kaa view aur zabardast ho gayaa hai, alHamdolillah!