**Ghar Mom Ka Pehlay To Banaaya Nahin Jata
Bann Jaaye To Suraj Sey Bachaaya Nahin Jata
Marzi Hai Samundar Ki Dubbo De Ya Bachaa Ley
Takkat Peh Koi Hukam Chalaaya Nahin Jata
Mein Apney Girebaan Mein Agar Dekhoon To Mujh Sey
Ilzaam Kissi Par Bhi Lagaaya Nahin Jata
Mill Jaaye Agar Paisa, Uthaa Letey Hein Pal Main
Insaan Gira Hum Sey Uthaaya Nahin Jata
Sachayi Ko Yeh Jhoot Bhala Kaisey Mitaye
Phoonkon Sey To Khursheed Bujhaaya Nahin Jata
Abb Baat Nahin Aahoon Ki Cheekhon Ki Hai Ae Dost
Abb Mujh Sey Mera Dard Chupaaya Nahin Jata…**