~*~
Ghamon ki jo faseel hay
Wo is qadar taweel hay
Ghazab to hay ke ik nahi
Faseel der faseel hay
Tum uski her mundair per
Aarzoo ke tail say..
Charagh e Dil jalao na..
Zara sa Muskurao na..
*
Wo phir say Yaad aye ga
Jo rooth ke chala gaya
Usay khabar bhii nahi
Kisi ka dil dukha gaya
Ab kisi meethi Yaad main
Shabon ko jaag jaag ker
Ye Rat-Jagay manao na
Zara sa Muskurao na
*
Ye Gham hamesha aayn gey
Ye Dil yunhi jalayen gey
Magar Khushi ke atay hi
Ye Gham bhi bhool jayen gey
Malaal hoke Gham say Tum..
Zara sa palkon pe yunhi
Sitaray jhilmilao na…
Zara sa Muskurao na..
~*~