ghum mojood hai aansoo bhi hein, kha to raha hoon pee to raha hoon
jeena aur kise kehtey hein,aacha khasa gee to raha hoon
yaro mein ne apna seena apne hathon chak kia
sach kehte ho laikin dekho, apne hathon see to raha hoon
khoon’e jigar aankhon se na tapka, munh se shula ban kar nikla
shubda gar hoon mujh par hanseiyy, mein bhi hansta hi to raha hoon
seem-o-zar se bartar-o-bala,shayad koi shey pa jao
raakh zara meri bhi kureydo, kimiya gar mein bhi to raha hoon
haan mein hafeez hoon tera banda, buut khane ke andar ab tak
meri niyyat poochte kia hay, meri mushiyyat thi to raha hoon