**yeh soch ker k gham k kharidar aagaye
hum khwaab baichney sar-e-bazar aagaye
yusaf na thay magar sar-e-bazar aagaye
khushfehmiyaN yeh theeN k kharidar aagaye
ab dil maiN hoslaa na sakat bazoowoN main hai
ab k muqablay pay marey yaar aagaye
aawaz day k zindagi her baar chup gaee
hum aisay sada dil thay k her baar aagaye
sooraj ki roshni pay jinhaiN naz tha bouhat
woh bhi to zair-e-sayaaye deewar aagaye**