**
Gham Kii tAbah KaariyOn Ko Kum Na Kar Sakay
kOii ilaaj hUm Dil e Barham Na Kar Sakay
Dil Kay Dyar e ShOq Mein jAlta hUa Diya
Lou Us Kii Khwahishaat Kii Madham Na Kar Sakay
Sazeena e Hayaat Ko Chaira tO Baar Baar
Sur Mein Kisi Bhi Saans Ki Sargam Na Kar Sakay
ZakhmOn Ko Meray jO bOhet hUmdardiyaan Milien
Alfaaz Meray dArd Ka Marham Na Kar Sakay
RasmOn Nay Daalii PaaOn Mein Zanjeer Is Trah
Kuch tUm Na Kar Sakay Kabhi Kuch hUm Na Kar Sakay
AansOo Diye Kisi Nay Kisi Say Millay Faraib
hUm Dastras Mein Wasl Kay mOusam Na Kar Sakay
Badlay Meri Hayaat Kii Eik Eik Saans K
Ashraf mUjhay wO Pyar Faraham Na Kar Sakay…!!!**
jiia
2
Re: Gham Kii tAbah KaariyOn Ko Kum Na Kar Sakay
rasmon ne dali paaoun me zangeer es tara
kuch tum na ker sake kuch ham na ker sake
:k:
Re: Gham Kii tAbah KaariyOn Ko Kum Na Kar Sakay
naakamay loog 
Re: Gham Kii tAbah KaariyOn Ko Kum Na Kar Sakay
**Aajao Wapis Yeh Guzarish Hai Meri,
Shayad Mujhe Tumhari Aadat Si Ho Gayi Hai
aap sur taal ke kache niklay
**
Re: Gham Kii tAbah KaariyOn Ko Kum Na Kar Sakay
Bus Ustaad ji Aap kuch kamal dikha`ayn…
Apni shaGirdi mein ly lyn
Re: Gham Kii tAbah KaariyOn Ko Kum Na Kar Sakay
Bus Ustaad ji Aap kuch kamal dikha`ayn...
Apni shaGirdi mein ly lyn
Guru dakshna de paen ge aap?
Re: Gham Kii tAbah KaariyOn Ko Kum Na Kar Sakay
Guru dakshna de paen ge aap?
Ustaad ji agar Guru dakshna day sakta to Kia Sur ka kacha hota...??
jiia
8
Re: Gham Kii tAbah KaariyOn Ko Kum Na Kar Sakay
muqawee usataad ho gae:bizz:
ustaad…

Re: Gham Kii tAbah KaariyOn Ko Kum Na Kar Sakay

Re: Gham Kii tAbah KaariyOn Ko Kum Na Kar Sakay
Ustaad ji agar Guru dakshna day sakta to Kia Sur ka kacha hota...??
Koi bat nahin aap ka dil sache sur pehchan sakta hai, hamare liye yehi boht hai