**Ashak aankhon mein chupaate huey thak jata hun,
Bojh paani ka outhate huey thak jata hun,
Paaon rakhtey hain jo mujh par unhen ehsas nhi,
Main nishanaat mitaatey huey thak jata hun,
Barf aisi k pighalti nhi paani ban kr,
Piyaas aisi k bujhatey huey thak jata hun,
Achi lagti nhi is darja shanaasai bhi,
Haath, haathon se milatey huey thak jata hun,
Gham Gusari bhi ajab kaar-e-muhabbat hai k main,
Roney walon ko hansaatey huey thak jata hun,
Itni Qabrain na banaao mere andar Mohsin,
Main charaghon ko jalaty huey thak jata hun.**