Mujhey mil ker tum ko ek baat batani hay
Ghum-e-zindagi ki ek kahani sunani hay
batana hay tum ko zindagi mein ab dum nahee
tumharay zariya doosroon tuk pohnchani hay
jhar rahee hay zard patton ki turhan
lamha ba lamha kam ho rahee hay
manind us dariya kay jis ka koi kinara nahee
un ankhoon ki turhan jin mein koi noor nahee
lug raha hay jaisa kay khuttum ho rahee hay
ufaq kay us parr zard sooruj ki turhan
munzal ki janib rawan dawan hay
lutay hoya musafir ki turhan
aahista aahista kudum ba kudum
chala ja rahee hay chala ja rahe hay
kisi sasiktay hoya laboon sa niklay alfaaz ki turhan
huwa mein ghul rahe hay shoor macha rahee hay
rooknay ki muntazir hay jawab mang rahee hay
booloon kis turhan kay na jaoo choor ker mujhey
mein to khood uski turhan chala ja rahee hoon
[QUOTE]
*Originally posted by Dr. Sahiba: *
AUR azad sahib kia kerna hay aap na doctors ki zaban samhaj kay aap perashan nahee hoon.::)
[/QUOTE]
JEE dr. begum humari zidagi ka dar o madar hi doctors par hay, Woh humari zidagi say aisay hi khailte hain jaisay bachay gali main "goliyan" khailtay hain. :D anyways hum pareshan bilkul nahi hain .. hayraan zaroor hain.