As Muharram has started, I shall be sharing Nohas in this thread … !
**Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Chehlum ko Karbala mein jab aeen woh Beebeyaan
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Zainab ne jab is zameen ko songha tu yeh kaha
Sajjad kuch sunaa
Sajjad kuch sunaa
Maqtal hai yeh Hussain ka Amma ki hai sada
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Chehlum ko Karbala mein jab aeen woh Beebeyaan
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Abid tarap ke bole phuppi aap per fida
Sach aap ne kaha
Sach aap ne kaha
Baba shaheed honge jahaan hai yehi jagah
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Chehlum ko Karbala mein jab aeen woh Beebeyaan
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Ek bibi dasht-e-khooni mein jaati thee nehar per
Kehti ba chashm-e-tar
Kehti ba chashm-e-tar
Abbas dene aee hon pursa Sakina ka
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Chehlum ko Karbala mein jab aeen woh Beebeyaan
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Ghut ghut ke laadli teri zindaan mein mar gaee
Turbat nahee banii
Turbat nahee banii
Bhayya woh qaid se huwi mar ke bhi na huda
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Chehlum ko Karbala mein jab aeen woh Beebeyaan
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Akbar ki qabar per huwi Laila yun nauha-gar
Dekha na saal bhar
Dekha na saal bhar
Aee hon qaid-e-shaam se ab ho ke mein riha
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Chehlum ko Karbala mein jab aeen woh Beebeyaan
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Bano yeh bain karti thee ay mere be-zubaan
Maa dhoonde ab kahaan
Maa dhoonde ab kahaan
Batla de hai kahaan mera Asghar ay Karbala
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Chehlum ko Karbala mein jab aeen woh Beebeyaan
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Qurbaan tere ay mere Maa jaye be-watan
Majboor thee behan
Majboor thee behan
Zindaan mein mujh se teri amaanat huwi juda
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Chehlum ko Karbala mein jab aeen woh Beebeyaan
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Rote hain khaas-o-aam tera sun ke yeh kalaam
Ay Shaah ke ghulaam
Ay Shaah ke ghulaam
Noha tera ‘Anees’ hai maqbool-e-bargaah
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
Chehlum ko Karbala mein jab aeen woh Beebeyaan
Sadaat-e-Karbala
Sadaat-e-Karbala
**
