-- Gham-e-hijr-e-yaar kab tak?

Gham-e-hijr-e-yaar kab tak? rahooN be-qaraar kab tak
merey dil! bataa yeh mujh ko, karooN us ko pyaar kab tak

yeh hujoom-e-naa-muraadee, Gham-e-be-shumaar kab tak
'tiree baat kaa bharosah, tiraa intizaar kab tak

shab-e-hijr kee udaasee kaheeN mujh ko le nah Doobe!
miree dhaRkanoN peh ho gaa tiraa iKhtiyaar kab tak

nah hee aaj kaa bharosah, nah hee kal kee haiN umeedeN
tiree reh-guZar takooN meN, shab-e-waSl-e-yaar! kab tak

jahaaN dekhiYe andheraa! jahaaN sochiYe udaasee!
rah-e-zindagee meN yaa Rab! rahe gaa Ghubaar kab tak

maiN nikal paRee thee tanhaa, liYe saare ranj dil par
magar phir Khayaal aayaa keh sahooN yeh baar kab tak

miree aankheiN tak rahin hain tiri waapsi ki raahein
tu hi ab bataa de mujhko karun intizaar kab tak

mujhe yooN to de gayaa hai woh dilaasah jaate jaate
magar ab yeh sochtee hooN, karooN e’tibaar kab tak

Re: – Gham-e-hijr-e-yaar kab tak?

Excellent GuL-e-Tasbeeh..

Re: -- Gham-e-hijr-e-yaar kab tak?

beautiful .... !!!!

Re: – Gham-e-hijr-e-yaar kab tak?

me a gae u ka intizar khatm hoa :crying:

Re: – Gham-e-hijr-e-yaar kab tak?

I am speechless!!! … aek, aek sheir kamaal ka hey…:lajawab: … kab likhi? :slight_smile:

Re: -- Gham-e-hijr-e-yaar kab tak?

excellent poetry
bht he khob

Re: -- Gham-e-hijr-e-yaar kab tak?

V nice Gul..:)

Re: – Gham-e-hijr-e-yaar kab tak?

Gul aap ney gul-ogulzaar ker diyaa :k:

Re: – Gham-e-hijr-e-yaar kab tak?

True, aik aik shair is ghazal ka bahut khoobsurat hai … … :k::k::k:
Thanks for sharing Gul-e-Tasbeeh

Re: – Gham-e-hijr-e-yaar kab tak?

gull… beautiful sharing :k:

Re: -- Gham-e-hijr-e-yaar kab tak?

Thanks Guys for liking it :-)

@ Amal , meiN ne kal hi likhi hay copy paste kar ke :-p its by Shumaila.....

Re: -- Gham-e-hijr-e-yaar kab tak?

nice sharing :)

Re: -- Gham-e-hijr-e-yaar kab tak?

bohat he alaa...maza a gaya.