ghalib - unmatched!!!!

aaina kyoon na doon ke tamasha kahein jise
aisa kahan se laoon ke tujh sa kahein jise

hasrat ne la rakha teri bazm-e-Khayal mein
guldastaa-e-nigaah suvedaa kahein jise

phoonka hai kis ne gosh-e-muhabbat mein ai Khuda
afsoon-e-intazar tamanna kahein jise

sar par hujoom-e-dard-e-Ghareebi se daliye
vo ek musht-e-Khaak ke sehra kahein jise

hai chashm-e-tar mein hasrat-e-deedar se nihaan
shauq-e-inaan guseKhta darya kahein jise

darkaar hai shiguftan-e-gul haaye aish ko
subh-e-bahaar panbaa-e-meena kahein jise

“Ghalib” bura na maan jo vaaiz bura kahe
aisa bhee koyee hai ke sab accha kahein jise

passed over the head!!!