ghalib sahib

Naqsh faryaadi hai kiski shaukhi-e tehreer ka
Kagazi hai pairahan har paikar-e tasveer ka

Kaay-kaay-e-sakht-janeeha-e tanhai na poochh
Subha karna shaam ka lana hai juu-e-sheer ka

Jazbah-e-bey-ikhtiyaar-e shouk deykha chahiye
Sinah-e shamseer sey baahar hai dum shamsheer ka

Aagahee daam-e shunidan jis qadar chaahey bichhaaye
Mudad aa anka hai apney aalam-e takreer ka

Baski hoon Ghalib aseeri mein bhi aatish zer-e pa
Muu-e aatish-deedah hai halkah meri zanjeer ka