Ghalat bakhshi

Ab jab dariya utar raha hai
Hawa mein ab kuch bikhar raha hai
Kuch bhi baqi nahin raha tou
Tum iss sheher mein kyun aaye ho
Lekin yeh qismat ki devi
Un ko bhi joote deti hai
Jin k pair nahin hote