Itna tu hota nahee khandar shaam ke baad
Jitna weeraan huwa jaata hai ghar shaam ke baad
Toot parti hai nai roz khabar shaam ke baad
Waqt hota hai azaaboon mein basar shaam ke baad
Meri aankhoon se barastay huwe dareyaaoon mein
Doob jaati hai teri raah'guzar shaam ke baad
Tere bakhshay huwe andwah ki ghabraahat ka
Aur hi rang se hota hai assar shaam ke baad
Tum nahee hotay tu phir dard zamaanay bhar ke
Aan miltay hain mujhe khaak-ba-sar shaam ke baad
Ghair lete hain mujhe raastay teri yaadoon ke
Jab bhi karta hoon tere baad safar shaam ke baad
Din bhi weeraan hi guzarta hai hamaara lekin
Aur bhar jaata hai weeraani ka darr shaam ke baad
Hijar ke saaye tu har roz hi aajaatay hain
Kya kabhi hoga tumhaara bhi guzar shaam ke baad
Ek bas tum hi nahee raat ke ghayyal
Khaak urti hai hamaari bhi idhar shaam ke baad...
Wonderful...
wah bahut khoob!