ghair kyaa jaaniye kyon mujhko buraa kehate hain

*ghair kyaa jaaniye kyon mujhko buraa kehate hain
aap kehate hain jo aisaa to bajaa kehate hain

vaaqa_i tere is andaaz ko kyaa kehate hain
na vafaa kehate hain jis ko na jafaa kehate hain

ho jinhen shaq vo karen aur khudaaon ki talaash
ham to insaan ko duniyaa kaa khudaa kehate hain

teri soorat nazar aa_i teri soorat se alag
husn ko ahal-e-nazar husn-numaa kehate hain

shikvaa-e-hijr karen kis dil se
ham khud apne ko bhi apne se judaa kehate hain

teri rudaad-e-sitam kaa hai bayaan naa-mumkin
faaydaa kyaa hai magar yoon zaraa kehate hain

log jo kuchh bhi kahen teri sitam-koshi ko
ham to in baaton ko achchhaa na buraa kehate hain

auron kaa tajurbaa jo kuchh ho magar ham to “Firaq”
talkhi-e-zeest ko jeene kaa mazaa kehate hain
~~~~***~~~~
Firaq Gorakhpuri

Re: ghair kyaa jaaniye kyon mujhko buraa kehate hain

Wow - good one, once again...