waah janaab, waah! bahooot umda intiKhaab rahaa aapkaa. mujhe aisii hii ek Ghazal JIgar Muradabadii kii yaad aa gaii jo maiN aap sab ke saath share kar rahaa huN. Ghaur se dekhiye k ustaad shaa'ir aur lesser shaa'ir meN kia farq hotaa hai: :)
saaqii kii har nigaah pe bal khaa ke pii gayaa
lahroN se kheltaa huaa lahraa ke pii gayaa
** be_kaifiyoN ke kaif se ghabraa ke pii gayaa
taubaa ko toR taaR ke tharraa ke pii gayaa**
** zaahid! ye merii shoKhii-e-rindaanaa dekhanaa
rahamat ko baat baat meN bahlaa ke pii gayaa
** sarmastii-e-azal mujhe jab yaad aa gaii
duniyaa-e-aitabaar ko Thukraa ke pii gayaa**
** aazurdagii-e-Khaatir-e-saaqii ko dekh kar jhunjhlaa ke jhoom jhaam ke ghabraa ke pii gayaa
**
*ai raHmat-e-tamaam, mirii har Khataa mu'aaf
*maiN intahaa-e-shauq meN ghabraa ke pii gayaa
piitaa beGhair izn ye kab thii mirii majaal
dar-pardaa chashm-e-yaar kii shai paa ke pii gayaa
**
*us jaan-e-mai_kadaa kii qasam baarhaa, "Jigar!"
kul aalam-e-bisaat pe maiN chhaa ke pii gayaa
*
<!--Session data--><!--Session data--><!--Session data-->
**
ji ji, bajaa farmaayaa. vo mere vaalid ke saathiyoN meN se the aur donoN ke ustaad the AsGhar GonDvii. maiN kisii din insha Allah un teenoN kaa kalaam pesh karuuNgaa :)**