Geet koyal k wo chidyoN k chah-cha-hay na rahay
Hai! Aangan meiN parindoN ke ghonslay na rahay
<?XML:NAMESPACE PREFIX = O />
Ghar yooN ajdaad k taqseem wirasat meiN huway
Aam k ped, chameli k bhi mandway na rahay
Hoga-E shahr k subb rastay kushaa-da laikin
Boodhay maaN baap say bacchoN k raabtay na rahay
HaiN toh usshaq magar aaj bhi pahlay say siwa
Qais, Farhad wo Raanjha k ma-aashqay na rahay
Khil nahiN paatE kanwal usski satah per yaaro
Paani jiss jheel ka saakit kabhi tahray na rahay
Dil ko bahlanay miyaN jaayeN bhi toh jaayeN kahaN
Aah! Wo rind, wo saqi, wo maikaday na rahay
Zakhm dil k haiN haray waise toh abb bhi Nazim
HaaN magar pahlay pahal ki tarha gahray na rahay