Meri to zindagi ko hi weraan kar gaya…
Ik shaks saare sheher ko sunsaan kar gaya!
Na aankh mein aansoo hain na lab pe koi muskaan
Woh mujh ko her ehsaas se anjaan kar gaya…!
Main khud ko buhat khaas samajhti rahi, magar…
Taskheer mujhe ik aam sa insaan kar gaya…!
Samaan mera loot kar manzil ko gaya woh…
Raste mein mujhe be-sar-o-samaan kar gaya!
Bus saans liye jana hi jeewan to nahin hai…
Zinda to hoon lekin mujhe bejaan kar gaya…!
Kaisi hai