Gazal

Har shama bhuji rafta rafta, har khwab luta dheeray dheeray,
Sheesha na sahi pathar bhi na tha, dil toot gaya dheeray dheeray !
Barson mein marasim bantay hain, lamhon mein bala kya tootaingay,
Tu mujh say bichadna chahey to, deewar utha dheeray dheeray !
Ehsaas hua barbaadi ka, jab saaray ghar mein dhool udi,
Aayee hai hamaray aangan mein, patjhad ki hawa dheeray dheeray !
Dil kaisay jala kis waqt jala, humko bhi pata aakhir mein chala,
Phaila hain dhuan chupkay chupkay, sulgi hai chitha dheeray dheeray !
Woh haath parhay ho bhi gayey, ab dhoor ka rishta hai `Aster’,
Aati hai meri tanhayee mein, khushboo-e-hina dheeray dheeray
Har shama bhuji rafta rafta, har khwab luta dheeray dheeray,
Sheesha na sahi pathar bhi na tha, dil tooth gaya dheeray dheeray

Re: Gazal

nicee

Re: Gazal

Mil bhi jaatay hain to katra kay nikal jaatay hain,
Hai mausam ki tarah dost badhal jaatay hain !

Hum abhi tak hain giraftaar-e-mohabbath yaaro,
Thokhrain kha kay suna tha ki sambhal jaatay hain !

Woh kabhi apni jafa par na hua sharminda,
Hum samajtay rahey pathar bhi pigal jaatay hain **
**Umar bhar jinki wafaon pay bharosa keejay,
Waqt padnay pay wahi log badhal jaatay hain !

Mil bhi jaatay hain to katra kay nikal jaatay hain,
Hai mausam ki tarah dost badhal jaatay hain !

Re: Gazal

thanx sanny