Tumhain jab kabi milain fursatain, Meray dil say boj utaar do Main buhut dinoo say udaas hon mujhay koi shaam udhar do
Mujhay apnay roop ki dhoop do, kay badal sakain maray khalo khad Mujhay apnay rang main rang do, Maray saray rang utaar do
Kisi or ko meray haal say na koi garz hay na koi waasta Main bikhar gaya hon samait lo, main bigar gaya hon sanwar do
Meri wehshatoon ko barha dia, Judaiyun kay azaab nay Meray dil pay hath rakho zara, meri dharkanoo ko karaar do
Wahan Ghar main kon hay muntazir, jo fikar ho dair sawair ki Bari mukhtasir C raat hay isay chandni main guzaar do
Tumhain subha kesi lagi kaho, meri khowahishoo kay diyar ki Jo bhali lagay tu yahin raho, isay chahatoo say nikaar do
Aadaab arz hay , bas shukria shukria , aji bas naaaaaa, hain or sunaoon?? chalo pehlay sab is ki tareef karo phir kal or sunao gi theek , parh kar seedhay ghar jana , kisi say raastay main tofi lay k nai khani OK Jao shabaash
Ghazal
Kab talak shamma jali yaad nahi
Shaam e gham kaisay dhalli yaad nahi
isqadar yaad hay apnay thay sabhi
Kiss nay kia chaal challi yaad nahi
hum zamanay mein kuch aisay bhatkay
Abb to unki bhi galee yaad nahi
Kat gaie umr kisi tarah qateel
woh burri thee bhalli yaad nahi