azaab-e-deed maiN ankhaiN lahoO lahoO kaR kay
maiN shaRam saar huwa teRi justaju kaR kay
suna hai shahaR maiN zakhmi diloN ka maila hai
chalaiN gaiN hum be magaR pairhaN rafoo kar kay
musaaft-e-shab-e-hijraaN k baad bhaid khula?
hawa dukhi hai chiraago0'N ki aabro kaR kay
zameeN ki payas usi k lahOo ko chaat gaieY
wo khush huwa tha samandaaR ko aabjoO kar kay
ye kis ne hum se lahOo ka kharaaj phiR manga?
abhi tu sooYe thay maqtal ko surkharoO kaR kay
ujaaR ruut ko gulabi banaieY rakhti hai
hamaRi ankH teRi deed se wazOo kaR kay
koi tu habs-e-hawa se ye pochta "mohsiN"
mila hai kia usay kalioOn ko be-namOo kaR kay