Gazal Topic of the week

Tumhain dil se bhulatay hain tou ankhain khoob roti hain
dard dil mein jagatay hain tou aankhain khoob roti hain..

Tumhaare baad chahat kay sabhi panchi urrayyy jaanaan
kahin bhi dil lagatay hain tou aankhain khoob roti hainn

Tairii tasveer adhuray khatt tou jalaa diye humm nayy...
Ab paani pe naqsh banatay hain to ankhain khoob roti hain

Ghataa awaargii mein jab siyaah choola pehantii haii..
Parinde jab satatay hain tou aankhain khoob roti hainn

Ke jab bhii shaam dhalti hain mairi qismat kay sab taray
Falak par jagmagatay hain tou aankhain khoob rotii hainn

Sard tareek raaton mein siyaaah saawan kii baarishh mein
Dard jab muskuratay hein tou aankhain khoob rotii hainn

Saahill kii woh mittti kay jiss pe khoon haathon sayy...
Wafa likh kar mitatay hain tou aankhain khoob roti hainn.