Gazal by Noor Jehan Sarwat - 2

Gazal by Noor Jehan Sarwat

Thi, kitab-e-zeest warq warq koi silsila hi na mil saka
Kisi Zaat ka kisi naam say koi rabta hi na mil saka

Koi khawab tha ka khayal tha wo saroor tha ka sarab tha
Khuli aankh dekha jo ghour say koi faisala hi na mil saka

Na thi dour manzil-e-ashna dil-e-khush guman ka qasoor kiya
Sar-e-raha aisa ghubbar tha hamin rasta hi na mil saka

Ajab ibtida houi ishq ki kay mizaj aisa gaya badal
Kahin aur dil ko laga sakain hamain hosala hi na mil saka

Kaho SARWAT ab bhi akaili ho, nai rah tum nay chuni thi kiya
Kisi rahnuma ka gila hay ya koi qafla hi na mil saka

for Urdu version click

http://www.gupistan.com/forums/showthread.php?postid=857341#post857341

Re: Gazal by Noor Jehan Sarwat - 2

[QUOTE]
*Originally posted by Pehalwan: *
Gazal by Noor Jehan Sarwat

Koi khawab tha ka khayal tha wo saroor tha ka sarab tha
Khuli aankh dekha jo ghour say koi faisala hi na mil saka

Ajab ibtida houi ishq ki kay mizaj aisa gaya badal
Kahin aur dil ko laga sakain hamain hosala hi na mil saka

Beautiful Thanks for sharing !!

Re: Gazal by Noor Jehan Sarwat - 2

[QUOTE]
*Originally posted by Pehalwan: *
Gazal by Noor Jehan Sarwat

Kaho SARWAT ab bhi akaili ho, nai rah tum nay chuni thi kiya
Kisi rahnuma ka gila hay ya koi qafla hi na mil saka

[/QUOTE]

... what a poem ... beautiful .. nice choice :) - thanks

[QUOTE]
Originally posted by Pehalwan:
Gazal by Noor Jehan Sarwat

Koi khawab tha ka khayal tha wo saroor tha ka sarab tha
Khuli aankh dekha jo ghour say koi faisala hi na mil saka


zabrdast pehlwan ji :)

Re: Gazal by Noor Jehan Sarwat - 2

[QUOTE]
*Originally posted by Pehalwan: *

Thi, kitab-e-zeest warq warq koi silsila hi na mil saka
Kisi Zaat ka kisi naam say koi rabta hi na mil saka

Koi khawab tha ka khayal tha wo saroor tha ka sarab tha
Khuli aankh dekha jo ghour say koi faisala hi na mil saka

Na thi dour manzil-e-ashna dil-e-khush guman ka qasoor kiya
Sar-e-raha aisa ghubbar tha hamin rasta hi na mil saka

Ajab ibtida houi ishq ki kay mizaj aisa gaya badal
Kahin aur dil ko laga sakain hamain hosala hi na mil saka

Kaho SARWAT ab bhi akaili ho nai rah tum nay chuni thi kiya
Kisi rahnuma ka gila hay ya koi qafla hi na mil saka

[/QUOTE]

bohat khoobsurat gazal..thanks 4 sharing
ap k pass aur hain is ki gazalian