gaye dinoon ka suraagh lay kar kahaan say aaya kidher giya woh
ajeeb manoos ajnabi tha mujhe tau hairaan karr giya woh
bass eik moti si chabb dikha kar bass eik meethi si dhun suna karr
sitara-e-sham ban k aaya ba-rang-e-khuwab-e-sahar giya woh
khushi ki rut ho ke ghum ka mausam, nazar ussay dhondhti hay har dam
woh boo-e-gul tha keh naghma-e-jaan mere tau dil main utar giya woh
na abb woh yaadoon ka charhata darya, na fursatoon ki udaas barkha
yonhi zara si kasak hay dil main, jo zakham gehra tha bharr giya woh
kuch abb sambhalnay laggi hay jaan bhi, badal challa dor-e-aasmaan bhi
jo raat bhari thi rall gayee hay, jo din karra tha guzar giya woh
bass eik manzil hay bul-Hawas ki, hazar rastay hain ehl-e-dil kay
yehi tau hay farq mujh main uss main, guzar giya main, thehar giya woh
shikasta pa rah main kharra hoon, gaye dinoon ko bula raha hoon
jo qafila mera hum-safar tha, misaal-e-gard-e-sahar giya woh
mera tau khoon ho giya hay paani, sitam garroon ki palak na bheegi
jo naalah utha tha raat dil say, na janay kiyon bay asar giya woh
woh maikaday ko jaganay wala, woh raat ki neend uranay wala
yeh aaj kiya iss k ji main aayi k sham hotay hi ghar giya woh
woh hijr ki raat ka sitara, woh ham nafas hum sukhan hamara
sada rahay iss ka naam piyara, suna hay kall raat marr giya woh
woh jis k shanay pay hath rakh karr safar kiya tu nay manziloon ka
teri galli say na janay kiyon aaj sarr jhukaye guzar giya woh
woh raat ka be-nawa musafir, woh tera shayarm woh tera nasir
teri galli tak hum nay dekham phir na janay kidher giya woh
– Nasir Kazmi