Gaye dinon ka suragh ley ker kidher se aaya kidher gaya woh

**Gaye dinon ka suragh ley ker kidher se aaya kidher gaya woh
Ajeeb manoos ajnabi tha mujhey to hairan kar gaya woh **

Bas ek moti si chab dikha kar bus ek meethi si dhun suna kar
Sitara-e-sham ban ker aaya barang-e-khowab seher gaya woh

Khushi ki rut ho yah gham ka mousam nazar usey dhundti hai her dam
Woh bu-e-gul tha ke naghma-e-jaan mere to dil mein utter gaya woh

**Na ab woh yaadon ka charhta deriya na fursaton ki uddas barkha
Younhi zara si kasak hai dil meiN jo zakhm gehra tha bhar gaya woh **

Kuch ab sanbhalney lagi hai jaaN bhi, badal chala daur-e-aasman bhi
Jo raat bhari thee Tal gayi hai jo din kara tha guzer gaya woh

**Shakastapa rah mein khaRa houn, gaye dinon ko bula raha houn
Jo qaafla mera humsafar tha misal-e-gard-e-safar gaya woh **

Mera to khoon ho gaya hai pani sitamgaron ki palak na bheegi
Jo nalah uTha tha raat dil sey na janey kiyun beyasser gaya woh

Woh me’ kadey ko jaane wala woh raat ki neend uRaane wala
Yeh aaj kya us ke dil mein aai keh shaam hotey hi gher gaya woh

Woh hij’r ki raat ka sitara woh hum nafas hum sukhan humara
Sada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mur gaya woh

Woh jis ke shaane pe hath rakh ker safar kya tu ne manzilon ka
Teri gali se na janey kyun aaj sar jhukaye guzer gaya woh

**Woh raat ka bey nawa musafir woh tera shayar woh tera “Nasir”
Teri gali tak to hum ne dekha tha phir na jaane kidher gaya woh **

Nasir Kazmi

buhat khoob :k:

ap ka shukriya aaftabi laRkay :konfused:

lovely .. :k: ..

one of my favtzzz :flower2:

Na ab woh yaadon ka charhta deriya na fursaton ki uddas barkha
Younhi zara si kasak hai dil meiN jo zakhm gehra tha bhar gaya woh

yeah it is my favorite too :)