Gaye dinoN ka suragh lay kar (one of my favorites by Nasir Kazmi)

Gaye dinoN ka suragh lay kar, kidhar say aaya kidhar gaya woh
Ajeeb manoos ajnabi tha, mujhey to hairaan kar gaya woh

Bas aik moti see chhabb dikha kar, bas aik meethi see dhun suna kar
Sitara-e-sham ban kay aaya, ba-rang-e-khwab-e-sehr gaya woh

Khushi ki rut ho keh rang ka mausam, nazar ussay dhoondti hai har damm
Woh boo-e-gul tha keh naghma-e-jaan, meray to dil meiN utar gaya woh

Nah abb woh yaadoN ka charhta darya, na abb fursatoN ki udaas barkha
Younhi kasak hai zara si dil mein, jo zakhm gehra tha bhar gaya woh

Kuch abb badalnay lagi hai jaaN bhi, Badal chala dor-e-aasmaN bhi
Jo raat bhaari thi tal gayee hai, jo din kara tha, guzar gaya woh

Bas aik manzil hai boo-al-hos ki, hazar raastay hain ehl-e-dil kay
Yehi to hai farq mujh meiN uss meiN, guzar gaya meiN, tehar gaya woh

Shikasta paa rah meiN khara hoon, gaye dinoN ko bula raha hooN
Jo qaafla mera humsafar tha, misal-e-gard-e-safar gaya woh

Mera to khooN ho gaya hai paani, sitamgaroN ki palak na bheegi
Jo nala utha hai raat dil say, na janay kiyoon be-asar gaya woh

Woh maikadeh ko jaganay wala, who raat kee neend uranay wala
Yeh aaj kiya uss kay jee main aayee, keh shaam hotay he ghar gaya woh

Woh hijr ki raat ka sitara, who humnafas, humsukhan hamara
Sada rahey naam uska piyara, suna hai kal raat mar gaya woh

Woh jiss kay shaanay peh haath rakh kar, safar kiya too nay manziloN ka
Teri gali say na janay kiyoon aaj, sir jhukaaye guzar gaya woh

Woh raat ka be-nawa musafir, woh tera shaair, woh tera nasir
Teri gali tak to jaatay dekha tha, phir na jaanay kidhar gaya woh

**
Bohot he khubsoorat nazm he pounds.. zabardasst!!!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

n a very warm welcome to Gupshup from me

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**


I am like an Open Book Except for the few pages of my past, My life is an empty book. It takes the shape of a mystery, To me it does at least. For I cannot tell what happens next, Too many cliffhangers and too much suspense. But its clues all lead eventually to the same place, Unfortunately it does not say where. It only says get the next book, For in this one you’ ve ran out of room.

buhat khube and thanks for reminding us a one a great ghazal by nasir kazmi marhoom.

bohat khoob

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

**welcome aboard **


MÙhb@t kÀ ÃnÒkhå SîÌSîÎã Hãï
KÆhî ý@$®Úb Káhï kîBàÎå H@ï

Gaye dinoN ka suragh lay kar, kidhar say aaya kidhar gaya woh
Ajeeb manoos ajnabi tha, mujhey to hairaan kar gaya woh
Bas aik moti see chhabb dikha kar, bas aik meethi see dhun suna kar
Sitara-e-sham ban kay aaya, ba-rang-e-khwab-e-sehr gaya woh

Khushi ki rut ho keh rang ka mausam, nazar ussay dhoondti hai har damm
Woh boo-e-gul tha keh naghma-e-jaan, meray to dil meiN utar gaya woh

Nah abb woh yaadoN ka charhta darya, na abb fursatoN ki udaas barkha
Younhi kasak hai zara si dil mein, jo zakhm gehra tha bhar gaya woh

very very nice poetry

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

niceeeee


I'm Gonna Be The Champ
The Way I Wanna Be
( Muhammad ALI )

and I really like the way Habib wali Mohammad has sung it

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

welcome…


Kay hum tu Dhoop main baarishh kay woh qatray hain jo gir ker, dar-o-deevar per hi sookh jaatay hain…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


~Advice is like caster oil, easy to give hard to swallow!~