AQ
1
*ChoT jub lagti hai kahiN, zubaaN yeh gawah hoti hay
Gawah Dil kee choT kee magar saari khudaie hoti hay
Jaantaa hay Tu kay mujhay dar thaa challay jaanay kaa teray
Dukh tau hai kay yeh baat aaj kiouN Roo’ Numaa hoti hay?
Mairee ulfat kee sazaa, dil ko apnay day dee tu nay
Ye naa jaanaa kay kasak iss kee aur kahaaN hoti hay?
maiN nay maanaa kay taghaaful maiN hay khushi kaa sha’oor
Hum tau ghaflat bhee barat-tay haiN tau khataa hoti hay
Ajab sazaa hay zubaaN bandi kee terii mehfil maiN
RahooN khamosh tau zaalim, kuch kahooN tau jafaa hoti hay
Tu jo karay, jo bhee kahay, mujhay sunna hay shoq say
Mairay kehnay maiN faqat harjaaiyouN kee adaa hoti hay
Woh ik shakhs kay rahaa sadaa paikar-e-Mohabbat Anwaar
Apnaaiiyat maiN uss kee ab magar saNglaakh sadaa hoti hay!*
–Anwaar
wah wah wah wah wah wah wah wah wah 
AQ
4
Tikhi: samajh aye tau kiouN naraazgi hoti hay :-d
jo naa aye samajh tau aisee hee wah wah hoti hay 
Thanks 
bohat khoob anwaar bhai :(...
Khoob...
Very good, Anwaar :)
AQ
9
Thanks, Thanks, Thanks and Thanks 
Koyal
10
:k:
sure hia k ap khud liktey ho na 
wowo bohut he Aala:k::k:
thanx and keep it up:flower1:
Itni achi keh aap ronay lagee…
Anwaar khabardaar jo bhateeji ko ronay wali poetry sikhaai 
Koyal
19
[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *
matlab?
[/QUOTE]
ye koi hum ne spanish main likha kia ? jo mutlab be batain
yeh har thread mein aap humein quote ker keh kuch na kuch kyuon kehte hein 
or aap kon hote hein unhe kehne wale keh nahi sikhaain… 
mein to seekhoon gi 