http://i44.tinypic.com/2qastur.jpg
Mujhe darya nahe likhna mujhe sehra nahe likhna
Tasalsul se safar mein hon mujhe thehra nahe likhna
Purane raabtoon ki raakh ab tak dil mein baaqi hai
Meri jalti hatheli per naya wada nahe likhna
Ana se jeet kar us ko agar jo mein ne khoya hai
Mera noha nahe likhna mera naghma nahe likhna
Bisaat-e-zindagi ki aakhri sarhad pe khara hoon
Mujhe faateh nahe likhna mujhe muhra nahe likhna
Tumhari aankh mein gar mein kabhi chup chap jal jaun
Tum apni ankhoon mein lekin mera sadma nahe likhna
Gawahi apne dil se lo tumhara dil kya kehta hai
Mujhe jhoota nahe likhna mujhe sacha nahe likhna
Mein us ki yaad mein gumm hon ke apne aap mein gum hon
Mujhe mehfil nahe likhna mujhe tanha nahe likhna
Mein apne lafzon se shohrat tumhein de jaunga ek din
Mujhe mash-hoor naa karna mera charcha nahe likhna
Yeh na ho tum kabhi us ko mitaana chaho na mittay
Mujhe apna samajh lena magar apna nahe likhna
Meri aankhoon mein batain hain magar chehre pe ghehri chup
Meri aankhain tau likh dena mera chehra nahe likhna
Kaheen aisa na ho meri kasak us dil mein reh jaye
Mera dukh dard likh dena magar ghehra nahe likhna …
**