Garmi-e-hasrat-e-naakaam se jal jaatey hain

**Garmi-e-hasrat-e-naakaam se jal jaatey hain
Hum charaaghon ki tarah shaam se jal jaatey hain

Bach nikaltey hain agar aatish-e-sayyaad se ham
Sholaa-e-aatish-e-gulafaam se jal jaatey hain

Khudnumaai to nahi shevaa-e-arbaab-e-wafaa
Jin ko jalnaa ho vo aaraam se jal jaatey hain

Shamaa jis aag main jalti hay numaaish k liye
Hum usi aag main gumnaam se jal jaatey hain

Jab bhi aataa hay mera naam tere naam k saath
Jaane kyun loog mere naam se jal jaatey hain?

Rabtaa baahum pay hamain kyaa na kahain ge dushman
Aashnaa jab terey paighaam se jal jaatey hain.**

Re: Garmi-e-hasrat-e-naakaam se jal jaatey hain

Awesome