Gardishon ke hain maare huay na
Gardishon ke hain maare huay na
dushmanon ke sataaye huay hain
Jitnay bhi zakhm hain mere dil par
doston ke lagaaye huay hain
Ishq ko roug maar dete hain
aqal ko soug maar dete hain
aadmi khud ba khud nahin marta
doosray loug maar dete hain
Jitnay bhi zakhm hain mere dil par
doston ke lagaaye huay hain
Loug kaanton se bach ke chalte hain
hum ne phoolon se zakhm khaaye hain
tum to ghairon ki baat karte ho
hum ne apne bhi aazmaaye hain
Jitnay bhi zakhm hain mere dil par
doston ke lagaaye huay hain
Kaasa-e-deed le ke dunya main
main ne deedar ki gadaai ki
Kaasa-e-deed le ke dunya main
main ne deedar ki gadaai ki
mere jitnay bhi yaar they sab ne
hasb-e-taufeeq bewafaai ki
Jitnay bhi zakhm hain mere dil par
doston ke lagaaye huay hain
Jab se dekha tera qadd-o-qaamat
Jab se dekha tera qadd-o-qaamat
…
tumhain dekha to zaahid ne kaha deewangi yeh hai
ke ke ab insaan ko sajda nawa hone ka waqt aaya
…
ae mast-e-naaz dekhne walon ke dil to dekh
pamaal ho gae tere raftaar dekh kar
…
Jab se dekha tera qadd-o-qaamat
Jab se dekha tera qadd-o-qaamat
…
Giraya..giraya…hath se…sheesha…suraahi tor di main ne
Sharaab…seekh main daali. kabaab sheeshay main
…
In aankhon se…in aankhon se qayamat ki nishaani kaun dekhay ga
bout-e-kaafir…teri uthti jawani kaun dekhay ga
…
Jab se dekha tera qadd-o-qaamat
dil pae tooti hui hai qayamat
har bala se rahe tu salaamat
din jawaani ke aaye huay hain
har bala se rahe tu salaamat
din jawaani ke aaye huay hain
aur day mujh ko day aur saaqi
aur day mujh ko day aur saaqi
qareeb aur bhi aao ke shauq-e-deed mitay
sharaab aur pilao ke kuch nashaa utray
Jitnay bhi zakhm hain mere dil par
doston ke lagaaye huay hain
apne dil-e-sad.chaak ko see sakta hoon
mehroom-e-karam ho ke bhi jee sakta hoon
mouqoof nahin jaam pae rindi mairi
saaqi tere ghussay ko bhi peeeee sakta hoon
Jitnay bhi zakhm hain mere dil par
doston ke lagaaye huay hain
aur day mujh ko day aur saaqi
aur day mujh ko day aur saaqi
hosh rehta hai thora sa baaqi
aaj talkhi bhi hai inteha ki
aaj talkhi bhi hai inteha ki
aaj woh bhi paraaye huay hain
kal thay aabaad pehlu main maire
kal thay aabaad pehlu main maire
ab hain ghairon ki mehfil main dairay
mairi mehfil main kar ke andhairay
mairi mehfil main kar ke andhairay
apni mehfil sajaaye huay hain
apne haathon se khanjar chala kar
apne haathon se khanjar chala kar
kitna maasoom chehra bana kar
kitna maasoom chehra bana kar
apne kaandhon pe ab mere qaatil
apne kaandhon pe ab mere qaatil
mere mayyat uthaaye huay hain
mehwashon ko wafa se kia matlab
mehwashon ko wafa se kia matlab
in butoun ko khuda se kia matlab
in butoun ko khuda se kia matlab
in ki maasoom nazron ne naasir
loug paagal banaye huay hain
Gardishon ke hain maare huay na
dushmanon ke sataaye huay hain
Qawwali by the legendary NFAK-mairi pasandida qawwalion main se aik