Gar Khuda Khwaab Dekhta Hoga....

Gar khuda khwaab dekhta hoga
Kya haqeeqat ko dekhta hoga

Yun jahan mein jo urtey rahey
Khoye jazbaat dekhta hoga

Jisne dharkayaa dil mohabbat mein
Lut-tey ussko woh dekhta hoga

Jab woh aankhon mein aab bharta hoga
Unnka behna bhi dekhta hoga

Usske seeney mein bhi tau dil hoga
Be-basi dil ki dekhta hoga

Ussne darya dili se de jo diya
Be-panah dard dekhta hoga..

Re: Gar Khuda Khwaab Dekhta Hoga....

Nice one Aryaan... :)

Who is the Poet?

Re: Gar Khuda Khwaab Dekhta Hoga…

Ussne darya dili se de jo diya
Be-panah dard dekhta hoga..

bahot khoob…:k:

Re: Gar Khuda Khwaab Dekhta Hoga....

Bohat shukriya GS & Reet..:)

GS poet ka kuch pata nahi..

Re: Gar Khuda Khwaab Dekhta Hoga…

TOu Pata karo na :snooty:

Re: Gar Khuda Khwaab Dekhta Hoga…

GS.. waqt bohat kam hota hai mere paas, weekend tak mohlat dijiye, waisey tab tak aap kuch pata lagwaiye, ek hi baat hai..:slight_smile:

Re: Gar Khuda Khwaab Dekhta Hoga…

Issay Kehtay haiN… Apna Kaam DoosrooN pe Thoopna :smiley:

Agar Tumhara kaam maiN karonga tou Tum KAAM CHOOR ho jaoogay :snooty:

Hum Aik Hafta Intizaar kar saktay haiN :wink:

Re: Gar Khuda Khwaab Dekhta Hoga....

Arey Nahi GS, main kaam chor hargiz nahi hoon, lekin dekhiye na likh main ne di hai aur ab shair ka pata lagwana aap par chora...... aur phir aap aam khaiye na, guthliyon ka kya karna hai..:)

Re: Gar Khuda Khwaab Dekhta Hoga…

Achaar Dalna hay ghuTliooN ka :wink:

:wave: