Gar jeet gaye tu kiya kehna, haarey bhi tu bazi maat nahi

**
Kab yaad mein tera saath nahi, kab baat mein tera haath nahi
Sad shukar ki apni raaton mein ab hijr ki koi raat nahi

Mushkil hain agr halaat wahan, dil bech aayein, jaan dey aaein
Dil walon kocha-e-janan mein kiya aisay bhi halaat nahi

Jis dhaj sey koi muqtil mein gaya, woh shaan salamat rehti hai
Yeh jaan tu aani jaani hai, is jaan ki koi baat nahi

Medaan-e-wafa darbaar nahi, yaan naam-o-nasab ki pooch kahan
Aashiq tu kisi ka naam nahi, kuch ishq kisi ki zaat nahi

Gar bazi ishq ki baazi hai, jo chaho laga do dar kaisa
Gar jeet gaye tu kiya kehna, haarey bhi tu bazi maat nahi**

Gar bazi ishq ki baazi hai, jo chaho laga do dar kaisa
Gar jeet gaye tu kiya kehna, haarey bhi tu bazi maat nahi

Wah wah bohat khoob :k:

Nice.

wah bhoot khoob :k:

beautiful ghazal:k::k: