Gar ho Buss mein tu bhool jaana...

Woh mere qissay, woh meri baatain
Woh sard mausam, woh bheegi raatain
Woh batoon batoon mein haal dil ka bayyan karna
Woh ranjishoun per bhi muskurahat hi daan karna
Woh adhe rastay mein subh-e-sadiq se shaam karna
Woh pichle qissay, adhoori batain tamaam karna
Woh ulte seedhe se ek doojay ko naam daina
Woh ankhon ankhon mein chahaton ke payyam daina
Woh rastoon mein jagah jagah pe nishaneyan apni chor jana
Kaheen pe jhomar kaheen pe hathon ki choriyan apni tor jana
Woh jub bicharna tu is tarah hawaas khona
Ke apni bhi phir khabar na hona
Woh ek saaya jo ru-baru thaa
Kahaan se aaya kahaan gaya hai
Yeh sare qissay yeh saari baatain
Bhulaayain kaise
Ke baat bass mein kahaan hai pyare
Yeh doosri baat hai meri jaan
Jo tum ne in ko fazool jaana
Tu phir mein itna hi bass kahonga
Yeh jitna kuch hai
Mere tumhare dilon ki album pe naqsh hai jo
Yeh jitna kuch hai
Gar ho buss mein tu bhool jaana…