~Gar ho bisaat mein, tu bhool jaana~

Woh mere qissay, woh meri baatain Woh sard mausam, woh bheegi raatain Woh batoon batoon mein haal dil ka bayyan karna Woh ranjishoun per bhi muskurahat hi daan karna Woh adhe rastay mein subh-e-sadiq se shaam karna Woh pichle qissay, adhoori batain tamaam karna Woh ulte seedhe se ek doojay ko naam daina Woh ankhon ankhon mein chahaton ke payyam daina Woh rastoon mein jagah jagah pe nishaneyan apni chor jana Kaheen pe jhomar kaheen pe hathon ki choriyan apni tor jana Woh jub bicharna tu is tarah hawaas khona Ke apni bhi phir khabar na hona Woh ek saaya jo ru-baru thaa Kahaan se aaya kahaan gaya hai Yeh sare qissay yeh saari baatain Bhulaayain kaise Ke baat bass mein kahaan hai pyare Yeh doosri baat hai meri jaan Jo tum ne in ko fazool jaana Tu phir mein itna hi bass kahonga Yeh jitna kuch hai Mere tumhare dilon ki album pe naqsh hai jo Yeh jitna kuch hai Gar ho Bisaat mein tu bhool jaana...

Buhat Khoob:k:…
:flower1:

wah good one